khud apne aap se ye gila umr bhar kiya kaise tere firaq ka mausam basar kiya minqar se hawa ne likhi dastan-e-hijr yun harf-e-mo'tabar ko bhi na-mo'tabar kiya kaisi hawa chali ki man barishon ke baad har be-gulab rut ne gulistan mein ghar kiya khud hum ne kat kat di zanjir sans ki khud hum ne zindagi ka safar mukhtasar kiya be-ab aainon ko bhi ek aab bakhsh di har chand be-hunar the ye kar-e-hunar kiya sare sutun ret ki buniyaad par uthae hum ne kis ehtiyat se tamir ghar kiya duniya simat ke ek hi nukte mein aa gai hum ne jab apni zat ke andar safar kiya tha mir ji ko izzat-e-sadat ka khayal hum ne sukhan ko jins-e-dukan-e-hunar kiya mauqa-shanas qasr-e-hawas mein pahunch gae tai marhala udan ka be-baal-o-par kiya khushbu mere badan se khud aa kar lipat gai 'mohsin' ye kis dayar se main ne guzar kiya