rishta mein kaun hai wo main is pesh-o-pas mein tha ek shakhs us ki seat pe baitha jo bus mein tha mujh se bichhad ke kar li mohabbat ne khud-kushi ek zakhm raat us ki kalai ki nas mein tha shakhon se us ko ahl-e-hawas ne jhapat liya warna wo ek phul meri dastaras mein tha mahaul ghar ka dekh ke ji aur jal gaya pahle se sara jism hi din-bhar umas mein tha banjar bana gaya hai takhayyul ki sarzamin har qafiya ghazal ka hisar-e-hawas mein tha us ki falak-bulandi-e-parwaz dekh kar main kaise man lun ki parinda qafas mein tha aamada-e-firaq tha kal raat is qadar 'dilbar' ko rok pana kahan mere bas mein tha