sar par hamare bar-e-digar kaun de gaya aakhir safar mein rakht-e-safar kaun de gaya wo aadmi hai kitne parindon ka aasra us aadmi ko tarz-e-shajar kaun de gaya maqtal mein bahas ka hai yahi muddaa abhi dastar ko sanbhaal ke sar kaun de gaya baithe hue hain shakh pe khushbu samet kar titli ko in gulon ki khabar kaun de gaya jugnu charagh chand na tara koi yahan diwar-e-shab-siyah mein dar kaun de gaya kal ek but ne mujh se kiya tha yahi sawal patthar tarashne ka hunar kaun de gaya 'rakesh' roz kahta hai 'dilbar' se aaj-kal mujh ko ghazal ke zer-o-zabar kaun de gaya