rishton ki kaenat mein simti hui hun main muddat se apne aap ko bhuli hui hun main main khush-nasib hun mere apnon ka sath hai tanhaiyon se phir bhi kyun lipti hui hun main dam ghontti rahi hun tamanna ka har samay in hasraton ki qabr sajati rahi hun main aati hai yaad aap ki mujh ko kabhi kabhi aisa nahin ki aap ko bhuli hui hun main us chaara-gar ko zakhm dikhaun ya chup rahun is kashmakash mein aaj bhi uljhi hui hun main hun fikrmand aaj ke haalat dekh kar beti ki man hun is liye sahmi hui hun main jazbaat kaise nazm karun apne sher mein kab se isi khayal mein dubi hui hun main bekar zindagi mein ye kaisi khalish 'siya' sab kuchh mila hai phir bhi kami dhundhti hun main