wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha aap se begana wo tha khud se main begana tha rabt-o-zabt-e-bahami ke hae wo raaz-o-niyaz aashiqana husn tha aur ishq mashuqana tha main agar gul tha to wo tha bulbul-e-shaida mera aur agar wo shama tha to is ka main parwana tha wo kabhi diwana tha mere liye laila kabhi main kabhi us ke liye laila kabhi diwana tha us ko tha didar hasil mujh ko nazzara nasib mere us ke darmiyan ek jalwa-e-jaanana tha mere kufr-e-ishq mein thi ek imani ada us ke kafir husn mein ek ishwa-e-turkana tha sajid-o-masjud hum baham the hum donon ka dil kabe ka kaba tha aur but-khane ka but-khana tha mere ashk-e-shauq-e-paiham mein thi us ki dastan us ke andaz-e-tabassum mein mera afsana tha jhum bhi utthi udhar kaif-e-tarb se ruh-e-naz aur idhar honton hi par mere abhi paimana tha hae wo shahba-e-zulf-o-kakul-o-gesu ki jab aaftab-e-subh bhi ek sham-e-ishrat-khana tha shamil-e-anfas the naghmat-e-aish-o-imbisat zindagi ke saz ka har zer-o-bam shahana tha aankh se dil mein sama jate the dil se ruh mein zindagi-e-shauq ka har haal betabana tha hae wo mai-khwari-e-baham ka aalam aah jab ehtimam-e-mai baghair-e-shisha-o-paimana tha jab milin aankhon se aankhen jab mile honton se hont har nazar paimana thi aur har-nafas mai-khana tha uf wo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab ba-hamd-digar ek jazba mushtarak tha aur bebakana tha wo taqaddum sharm ka ho ya tajawuz shauq ka dakhil-e-mustasniyat-e-laghzish-e-mastana tha uf wo fart-e-shauq jis ka nam tha ranjidagi aalam-e-ranjidagi kis darja mahbubana tha barhami par hae wo jurmana-ha-e-jurm-e-shauq wajh-e-afzuni-e-shauq-e-jurm har jurmana tha ho rahe the yun basar roz-o-shab umr-e-nashat mehr-o-mah se ehtimam-e-zinat-e-kashana tha be-talluq zindagi hone ka tha imkan hi kya zindagi zulf-e-talluq thi muqaddar shana tha runuma lekin muqaddar se hua wo ishq ke jo talawwun husn ki fitrat mein mahbubana tha husn to hai ek tajalli sham-e-har-mahfil-sifat wo to kah dega ye ek andaz-e-mashuqana tha han magar kal ishq ko dekha ki wo shorida-bakht badh chuka tha zindagi mein maut se diwana tha ja raha tha be-irada be-khayal-e-samt-o-rah aur zaban par nala-e-mauzun ye mazlumana tha chashm hai mahrum-e-surat gosh mayus-e-sada khwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha