rishton ko jab dhup dikhai jati hai cigarette se cigarette sulgai jati hai jism hamara ek aisi mil hai jis mein andhiyaron se dhup banai jati hai na se us ki shakl milane lagta hun jab us ki aawaz sunai jati hai kya wo panne sach-much kore hote hain jin par koi zarb lagai jati hai bulle-baba diwano ko samjhao apni hasti kaam mein lai jati hai apni mitti apna pani wapas le sunte hain ye shai lautai jati hai patthar le kar aate hain sab sine mein bhag jage to thokar khai jati hai khamoshi se yakja karte hain khud ko shor macha kar aag bujhai jati hai hote hote raushan hota hai chehra jate jate dil se koi jati hai donon bhawon ki shiknen hath batati hain apni tezi aankh banai jati hai