fazaen kaif-e-bahaaran se jab mahakti hain to dil mein choten teri yaad ki kasakti hain shafaq ke rang bhi un ka jawab la na sake kisi ke chehre pe jo surkhiyan damakti hain jinhen tumhaara tabassum mila hai wo nazren faza mein nur ke naghme bikher sakti hain kabhi kabhi to sitaron ke narm sae mein kisi ke jism ki parchhaiyan chamakti hain qadam qadam pe bichhati hai jal tira-shabi nafas nafas pe nai bijliyan chamakti hain jahan wo aankhen mera intizar karti thin ab un darichon se mayusiyan tapakti hain sukut-e-shab mein tere intizar ka aalam ki jaise dur kahin paelen khanakti hain unhin ka nam kahin masti-e-bahaar na ho kali ke sine mein jo nikhaten dhadakti hain ho intizar kisi ka magar meri nazren na jaane kyun teri aamad ki rah takti hain jab un ke aane ki ummid hi nahin 'arshad' to phir nigahen khalaon mein kyun bhatakti hain