riwayat thi ye samjhauta nahin tha

riwayat thi ye samjhauta nahin tha
main sab ka tha koi mera nahin tha

hamesha is liye na-khush raha main
jo achchha tha bahut achchha nahin tha

mere hisse mein aaya sabr ka phal
magar afsos wo mitha nahin tha

kahani zindagi ki mukhtasar thi
alif-laila ka afsana nahin tha

usi aansu pe thi ummid qaem
jo us ki aankh se chhalka nahin tha

tawazun kho chuki barson se duniya
jahan firaun tha musa nahin tha

saza ghairon ke jurmon ki milegi
main wo katunga jo boya nahin tha

sar-e-rah lutte hain chain rahzan
yahan aisa kabhi hota nahin tha

dilon ke rishte kaise tut jate
ye do mulkon ka batwara nahin tha

musawat-e-haram allahu-akbar
wahan koi bada chhota nahin tha

khudaya bakhsh de meri khataen
main aksar hosh mein rahta nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close