riwayaton ke abhi aaftab baqi hain sharafaton ke abhi mahtab baqi hain ye mana hum ne ki aazad ho chuke lekin abhi ghulami ke hum par azab baqi hain unhi ke dam se hai raunaq yahi hain sarmaya bikherte hue khushbu gulab baqi hain ye tarjuman-e-hayat-e-bashar hain dekho to ubharte phutte ab bhi habab baqi hain haqiqaton se jo parda utha hua malum ba-nam-e-dost abhi tak sarab baqi hain