koi nahin hamara pursan-e-haal ab ke

koi nahin hamara pursan-e-haal ab ke
pahle se bhi shikasta aaya hai sal ab ke

himmat to aa gai thi dukh jhelne ki lekin
aaya hai gham hi chal ke ek aur chaal ab ke

ki hai bahut ibaadat furqat mein aansuon ne
yazdan tu kar le un ka kuchh to khayal ab ke

baaton ki naghmagi sab aahon mein dhal gai hai
phaila udasiyon ka kaisa ye jal ab ke

do lakht ho gaya hai ye dil nazar apna
uttha jo duriyon ka phir se sawal ab ke

barg-o-samar se aari tanha shajar ho jaise
jiwan ki hai 'safi'-ji aisi misal ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close