riwayaton ko kabhi tum asas mat karna main laut aaunga hargiz ye aas mat karna giraft-e-khwab se jis ne rihai di tum ko wo khud bhi jagta hoga qayas mat karna bikhar rahe ho to phir tutta bhi andar se shikastagi ko tum apna libas mat karna kiya ho jaan se guzarne ka faisla jis mein us ek lamhe ko sarf-e-hiras mat karna agarche hath mein ho kasa-e-gadai bhi khuda ke baad kisi ki sipas mat karna khizan ke war se ghabra ke ai 'jamil' kabhi shaguft-e-gul ke liye iltimas mat karna