riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil

riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil
khuda ke nek bandon mein na tu shamil na main shamil

wafa ki sukhti jhilon se lakhon kuch karte hain
magar udte parindon mein na tu shamil na main shamil

tamasha dekhte hain aap apna aur hanste hain
hamare dard-mandon mein na tum shamil na main shamil

abhi to bhigte lamhon ne pahla bhed paya hai
abhi barish ki bundon mein na tu shamil na main shamil

fasad-o-qatl karte hain jo tere mere namon par
ilahi in darindon mein na tu shamil na main shamil

na eazazat aur pi aar tamghe aur na seminar
adab ke shar-pasandon mein na tum shamil na main shamil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close