rizq ka jab nadaron par darwaza band hua

rizq ka jab nadaron par darwaza band hua
basti ke goshe goshe se shor buland hua

matla-e-be-anwar se phuta shokh tabassum kirnon ka
raat ke ghar mein suraj jaisa jab farzand hua

sada be-amezish jazba-e-pir faqir karamat ka
jis ke ism se mayusi ka zahr bhi qand hua

awwal awwal shor utha sine mein aam tamanna ka
band fasilon ke gumbad mein jo do-chand hua

dukh ko samt-shanasai di gham ke qurbat-daron ne
dil dhaara dariya mil kar bahra-mand hua

chaliye apne aap se chimte rahna to mauquf kiya
jab se roz ke samjhauton ka wo paband hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close