ro raha hun main ki naqd-e-dil gaya wo ye khush hain ek khazana mil gaya yaad un ki aa gai jab dil gaya ek na ek hamdard mujh ko mil gaya shauq mein taqat to dekho zoaf ki baithe baithe main kai manzil gaya kah gaya koi ye meri qabr par bewafa huron se ja kar mil gaya pa-e-rangin chumne ke shauq mein khun ho kar dil hina mein mil gaya aah ki aur un ke dil mein rah ki ek qadam chal kar kai manzil gaya ek parda pad gaya mahmil pe aur jab ghubar-e-qais ta-mahmil gaya dil liya to dard kyon rahne diya itna puchhunga agar wo mil gaya puchhta hai koi dil par rakh ke hath kahiye ab to iztirab-e-dil gaya aap to aaram se sote rahe aur yahan nalon se aalam hil gaya uf nigah-e-yas ka 'muztar' asar dur tak rota hua qatil gaya