tu zamane ki jaan hai ki nahin tujh pe marta jahan hai ki nahin dil bhi den jaan bhi nisar karen ye kada imtihan hai ki nahin zahid un ke niyaz-mandon mein be-niyazi ki shan hai ki nahin galiyan aap ki sunun kab tak mere munh mein zaban hai ki nahin agla wada wo agla qaul-o-qarar yaad kuchh mehrban hai ki nahin kaun de jaan in hasinon par jaan hai to jahan hai ki nahin dil churaya hai tum ne 'muztar' ka sach hamara guman hai ki nahin