ro raha tha main bhari barsat thi haal kya khulta andheri raat thi mere nalon se hai barham baghban ye khafa hone ki koi baat thi din nahin dekha siwa-e-sham-e-hijr zindagi-bhar mein yahi ek raat thi nala-o-ah-o-fughan se badh gai warna ulfat ek zara si baat thi hashr tak laya jahan se dard-e-dil kis ko deta kya koi saughat thi band kin aankhen ki dekhun khwab-e-subh khol kar jab aankh dekha raat thi ai saba ghunchon ne hans kar kya kaha un ka qissa tha ki meri baat thi allah allah wahdat-e-sham-e-firaq ek meri ek us ki zat thi aap hi gin den masaib hijr ke yun to kahne ke liye ek raat thi hichkiyon se raaz-e-ulfat khul gaya aa gai munh par jo dil mein baat thi sham-e-marqad tujh se shikwa hai mujhe mere ghar mein bhi andheri raat thi kuchh na kuchh 'saqib' ne paida kar liya ye zamin to dushman-e-abyat thi