yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dildar bahut un se dur basai basti jin se hamein tha pyar bahut ek ek kar ke khili thin kaliyan ek ek kar ke phul gae ek ek kar ke hum se bichhde bagh-e-jahan mein yar bahut husn ke jalwe aam hain lekin zauq-e-nazara aam nahin ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke dawedar bahut zakhm kaho ya khilti kaliyan hath magar guldasta hai bagh-e-wafa se hum ne chune hain phul bahut aur khar bahut jo bhi mila hai le aae hain dagh-e-dil ya dagh-e-jigar wadi wadi manzil manzil bhatke hain 'sardar' bahut