roenge chashm-e-tar na dekhenge khwab wo umr bhar na dekhenge fath ka khwab dekhne wale apne shanon pe sar na dekhenge hum sawali nikal pade ghar se koi darwaza dar na dekhenge dhup ka saeban saron par hai rah mein hum shajar na dekhenge chah kar bhi tujhe na chahenge dekh kar bhi magar na dekhenge pastiyon se bulandiyan kam hain hum ye zer-o-zabar bhi dekhenge shauq-e-didar hai 'jamil' ahmad hum tere baam-o-dar na dekhenge