rog maine bhi kai jaan ko lagae barson

rog main ne bhi kai jaan ko lagae barson
jaane wale bhi nahin laut ke aae barson

aakhirash tab mashaqqat ki na aankhon mein rahi
main ne rozi ki tarah khwab kamae barson

dhul jazbon ki hatai to ye ehsas hua
is mohabbat mein shab-o-roz ganwae barson

tu nahin tha to muqaddar bhi ghunuda hi rahe
thokaren mar ke bhi hum ne jagae barson

us ki aankhon se kisi taur andhera na gaya
dip jis ke liye khun se bhi jalae barson

ruth kar shahr-e-khamoshan ko gae aate nahin
hichkiyan le ke koi chahe manae barson

main bhi sah paya nahin teri judai ko 'hasan'
aur is dil se bhi uthti rahi hae barson


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close