sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi

sarshaar bhi karti hai ghazal leti hai jaan bhi
khushbu ke barabar se nikalta hai dhuan bhi

hoti thin kabhi sham ki ninden bhi mayassar
aankhon mein guzar jati hai ab pahli azan bhi

pahchan faqat nam-o-nasab se nahin hoti
shajre ka pata deti hai insan ki zaban bhi

kis tarah kiya tu ne mohabbat ka izala
pura na hua mujh se to lamhon ka ziyan bhi

kuchh dakhl nahin mera miyan kar-e-junun mein
ab ishq pe hai mujh ko ye le jae jahan bhi

is duniya mein kar mujh se nae jazbon ki khwahish
matruk nahin chalte 'hasan' sikke yahan bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close