rona in ka kaam hai har dam jal jal kar mar jaana bhi jaan-e-jahan ushshaq tumhaare shama bhi hain parwana bhi sari umr mein jo guzri thi hum par wo rudad likhi par hui yun mashhur ki jaisa ho na koi afsana bhi ishq sabhi karte hain magar jo haalat mujh par tari hai munh se kahun gar hath malega apna bhi begana bhi puchhte kya ho mera thikana ek jagah gar ho to kahun rahguzar hai yar ka dar hai masjid bhi mai-khana bhi rah-e-talab mein chalte phirte lakhon aate jate hain khalq mein hai ushshaq ki manzil kaba bhi but-khana bhi mujh par wo be-taur khafa hain ghairon ke bahkane se milna kaisa baat kahan ki band hai aana jaana bhi ek hamin kya pech mein hain us zulf-e-dota ki ulfat se mar-e-siyah ham-rang hai apna sumbul-e-tar bhi shana bhi kar di sohbat darham-o-barham kis ki chashm ke afsun ne bahka saqi dhalki botal aur chhalka paimana bhi waiz ke munh par na kaho kuchh shara ki hurmat lazim hai rindi mein mashrut nahin hain baaten aazadana bhi khanjar-e-abru tegh-e-nigah taqrir-e-musalsal chashm-e-siyah tez bhi hai khun-rez bhi dil-awez bhi hai mastana bhi kuche mein us ke jama hain aashiq bhid lagi hai koson tak shor bhi hai hangama bhi hai shane se chhilta shana bhi khalwat-e-dil mein chain se baitho kis se takalluf karte ho ghar hai tumhaara tum ho yahan mehman bhi sahab-khana bhi nam 'habib'-e-muztar ka malum nahin sab kahte hain dard-rasida aafat-dida wahshi bhi diwana bhi