padin ye kis ke jalwe par nigahen nigahen ban gain khud jalwa-gahen kahe mujh se na koi zabt-e-gham ko abhi munh se nikal jaengi aahen suluk apna hai un ke naqsh-e-pa par yahi hain manzil-e-irfan ki rahen unhen dekhen wo dekhen ya na dekhen unhen chahen wo chahen ya na chahen chalae the jinhon ne tir dil par hum aankhon mein liye hain wo nigahen natija hai ye aahen khinchne ka hamein khinche liye phirti hain aahen 'sharaf' kis ne ye dali aankh mein aankh nigahon se nikal aain nigahen