rona zar-o-qatar chhod diya hum ne ye karobar chhod diya jis pe naqsh-e-qadam the majnun ke hum ne wo khar-zar chhod diya hum ne tare to gin liye lekin aansuon ka shumar chhod diya sath ummid hi ka main ne to tha bahut khush-gawar chhod diya jo bharosa tha soch par mujh ko wo bhi parwardigar chhod diya hum ne to aasra khuda ka bhi jo ki tha paedar chhod diya be-wafa jab lagi mujhe main ne zindagi hi se pyar chhod diya main ne to shaghl-e-shaeri 'rahat' jab hua dil pe bar chhod diya