rote rote aankh hanse to hansne do honton par muskan ko zinda rahne do khushiyon ki rut par bhi un ke pahre hain be-mausam ke phul khilen to khilne do kitna gahra sannata hai sahil par lahron se tufan uthe to uthne do jaane kab wo ek musafir aa pahunche chaukhat par ek dip jala kar jalne do jin khwabon mein us ki khushbu phaili hai un khwabon ko dil mein zinda rahne do logon se kah do ummiden zinda hain 'qaisar' aansu palkon se mat girne do