jhuta ye pyar upri chahat nahin qubul is bab mein koi bhi wazahat nahin qubul sada hun main hai dil ko mere sadgi aziz donon ko khud-numai ki aadat nahin qubul apna zamir bech ke shohrat agar mile baithegi jhag ban ke wo shohrat nahin qubul jo chahe nam apna likhe aab-e-zar ke sath mujh ko ye aab-e-zar ki ibarat nahin qubul be-shak ghazal chhape na chhape bin liye-diye mujh ko sukhan mein aisi tijarat nahin qubul behtar yahi hai farsh-e-zamin par rahe nashist paison se jo mile wo sadarat nahin qubul 'khusraw' kisi ka aage nikalna nahin pasand parchhain ki bhi mujh ko qayaadat nahin qubul