roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha chhod aae to phir hum ne palat kar nahin dekha kuchh wo bhi samajhne ka takalluf nahin karte kuchh hum ne zaban se kabhi kah kar nahin dekha shayad usi kamyab ko kahte hain tabassum hum ne tere chehre pe jo aksar nahin dekha hum husn ba-andaz-e-hasin dekhne wale sach baat hai tujh sa koi paikar nahin dekha is zakhm ka zalim ko to ehsas bahut hai jis zakhm ko hum ne kabhi gin kar nahin dekha hum ko to sar-e-hashr thi ek aur kasak bhi jate hue hum ne rukh-e-dilbar nahin dekha