roun to khushk aankh mein aansu kahan se aae bolun to bhi zaban pe qabu kahan se aae bahno tumhaari mang ka sindur kya hua bachchon tumhaare hath mein chaqu kahan se aae insaf ka lihaz na taqsim ka shuur in bandaron ke hath taraazu kahan se aae wo ehtiram-e-masjid-o-mandir kahan gae ye sadhuon ke bhes mein daku kahan se aae hain ek ghar ke log yahan ghair kaun hai phir ye muamalat-e-man-o-tu kahan se aae aapas ki ranjishen hain ki bahar ki sazishen ye zid ye ikhtilaf ke pahlu kahan se aae allah kaise aa gai lafzon mein raushni meri bayaz-e-sher mein jugnu kahan se aae