jo gir ke mere hath se tuta bhi nahin tha aisa bhi nahin hai ki wo shisha bhi nahin tha jab meri hifazat ke ye saman nahin the tab itna meri jaan ko khatra bhi nahin tha kya jaaniye kyon bhar si gai meri tabiat ji bhar ke tere shahr ko dekha bhi nahin tha jin ke liye ye jaan hatheli pe rahi hai hoga mera qatil kabhi socha bhi nahin tha malum nahin kaise nikal aae bhanwar se har chand ke tinke ka sahaara bhi nahin tha sar rakkha hai sajde mein bahut soch samajh kar bande ke liye aur koi chaara bhi nahin tha