roz dilha-e-mai-kashan tute ai khuda jam-e-asman tute dushmani is zamin ki dekho gumbad-e-qabr-e-dostan tute wasf-e-abru-e-pur-shikan jo na ho kya ajab khanjar-e-zaban tute rang lae agar shikasta-dili bulbulo shakh-e-ashiyan tute nikhat-e-gul se bas gaya gulshan ghuncha kya chatke itr-dan tute khub phaili hai bu-e-baada-e-ishq shisha-e-dil kahan kahan tute le udegi hawa-e-baam hamein na karenge jo nardban tute qasd-e-parwaz ka jo bojh pada bazu-e-murgh-e-na-tawan tute lucknow chal ke ji lagaun 'munir' kis liye dil mera yahan tute