roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai koi hai din ke ujale mein koi raat mein hai main bhi majmua-e-azdad hun duniya ki tarah kahin sahra kahin gulzar meri zat mein hai hai mere gird meri man ki duaon ka hisar gham nahin hai koi dushman jo meri ghat mein hai main tahi-dast hun lekin ye pata hai mujh ko wo mere nam hai jo chiz tere hat mein hai daman-e-shab mein chamakte hain sitaron ki tarah aks kis ka ye meri khak ke zat mein hai tirgi khauf ki pahlu mein basi hai lekin kuchh umidon ki chamak dil ke mazafat mein hai mil hi jaegi kahin panw tikane ki jagah ab sitaron ka jahan meri futuhat mein hai meri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak us ko bhi dekh bulandi jo khayalat mein hai ek hi rang mein rahti hai tabiat har dam farq jade mein na garmi mein na barsat mein hai dil larazta hai pas-e-parda na ho zahr koi kuchh ziyaada hi mithas ab ke teri baat mein hai dekhna wo bhi kahin chhut na jae 'mahir' jo chamakta hua ek rang riwayat mein hai