hukmaran jab se huin basti pe afwahen wahan din dhale hi bain karti hain ajab raaten wahan ek ghurub-e-be-nishan ki samt raste par hun main khauf ye darpesh hongi kaisi duniyaen wahan bar-ha dekhi hai un kuchon ne shab-masti meri aaj bhi ek ghar ke baam-o-dar shanasa hain wahan kya tujhe mismari-e-dil ki khabar koi na thi kis liye bhejin na tu ne phir ababilen wahan ek dafa tu yahan aa kar mujhe hairan kar kya zaruri hai ki tujh se milne aaun main wahan