roz hawa mein udne ki farmaish hai ye meri mitti mein kaisi khwahish hai chehra chehra gham hai apne manzar mein aur aankhon ke pichhe ek numaish hai ek teri aawaz nahin aati warna chhote se is ghar mein har aasaish hai ab ke sawan aae to tum aa jaana sare basti walon ki farmaish hai ek din shish-mahal se bahar bhi dekho kheme ki bhi apni ek rihaish hai un rangon ko suraj kha jata hai 'qais' jin rangon mein thodi si aalaish hai