kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka hausla mujh mein nahin anjuman-arai ka main ne samjha tha jise bais-e-taskin-e-nazar us ne saman kiya hai meri ruswai ka meri baaton mein naya rang kahan se aae mere dil mein bhi hai ek zakhm shanasai ka baat to jab hai ki jazbon se sadaqat phute yun to dawa hai har ek shakhs ko sachchai ka ruh mein jazba-e-ulfat ko fuzun pata hun jab khayal aata hai mujh ko teri ranai ka ai 'khayal' aatish-e-ehsas bhadak jaegi aap dawa na karen dhup mein danai ka