roz-o-shab ki shakh se bichhda hua patta hun main waqt bhi ab dhundhta hai jis ko wo lamha hun main dil ke shishe tut jate hain meri aawaz se ek shikasta saz se ubhra hua naghma hun main ham-nashinon ko kabhi aati nahin hai aanch tak kitni thandi aag hai jis mein sada jalta hun main zindagi ke shor mein simte rahe zarre mere ek zara tanha hua to kis tarah bikhra hun main rangton ka sail tha ya khushbuon ki lahr thi ab talak us husn mein us jhil mein duba hun main in chamakti shah-rahon par kise apna kahun shahr hain aabaad apnon se magar tanha hun main 'sham' yun to ab khalaon mein hain apni manzilen aur dekhun to usi dharti se be-rishta hun main