us gul se kuchh hijab hamein darmiyan na tha jis din ki ye bahaar na thi gulistan na tha dam-o-qafas se chhut ke pahunche jo bagh tak dekha to is zamin mein chaman ka nishan na tha ye qumriyan jo sarw ki aashiq huin magar duniya mein aur koi sajila jawan na tha kyun kar mili ho gul se jo aati ho khush-dimagh ai bulbulon chaman mein magar baghban na tha lachaar le dil apna gaya gor mein 'yaqin' is jins ka jahan mein koi qadr-dan na tha