roz puchhe hai mere dil ka bayaban mujh se jaane kyon ruth gaya jaan-e-bahaaran mujh se maut us waqt masiha ki tarah lagti hai zindagi hoti hai jab dast-o-gareban mujh se marte dam bhi na hui hae mayassar khalwat milne aae hain wo hamrah-e-raqiban mujh se dil ki har baat ko lafzon mein bayan karta hun is liye rahte hain kuchh log pareshan mujh se zindagi sarf ki duniya ki talab mein aakhir kuchh ada ho na saka farz-e-musalman mujh se shab guzarte hi bujha doge yaqinan mujh ko ro ke ye kahne lagi sham-e-shabistan mujh se tishnagi se bhi mujhe kaif mayassar aata kash mil jata koi abr-e-gurezan mujh se tujh ko dekha tha yahan khilte gulabon ki tarah is liye chhutta nahin shahr-e-nigaran mujh se main qalam bech ke shahon ke qaside likhkhun chahte hain yahi shahon ke sana-khwan mujh se dekh kar badhte hue dard ki shiddat ko 'bilal' zakhm bhi hone lage ab to pasheman mujh se