qahr barsa aasman se tab pashemani hui bhul baithe hum khuda ko hum se nadani hui kya hasin raunaq yahan thi kis qadar aabaad tha aaj apne shahr ko dekha to hairani hui ji rahi hain khauf ke sae mein wo in dinon suraten duniya mein thin jo jaani pahchani hui ho gae hain mandir-o-masjid ke darwaze bhi band sari duniya par musallat kaisi virani hui ji huzuri kar na pae hukm par us ke 'bilal' baadshah-e-waqt ki hum se na darbani hui