roz tabdil hua hai mere dil ka mausam roz kamre mein mere sard hawa aai hai fikr ki aanch mein pighle to ye malum hua kitne pardon mein chhupi zat ki sachchai hai roz aaankhon mein utar jata hai khanjar koi in dinon ahl-e-nazar ko gham-e-binai hai mere chehre se jo padh sakte ho padh lo yaro dil ki har baat mere lab pe kahan aai hai apne kandhe pe liye phirti hai ehsas ka bojh zindagi kya kisi maqtal ki tamannai hai kyun na 'tanwir' phir izhaar ki jurat kije khamushi bhi to yahan bais-e-ruswai hai