soch ka zahr na ab sham-o-sahar de koi aam hai be-khabari aisi khabar de koi sair-e-afaq ho kyun mashghala-e-fikr-o-nazar kash mere par-e-parwaz katar de koi dur tak bikhra hua ret ki surat hai wajud khud ko aawaz idhar de ki udhar de koi mere alfaz na kar pae maani ko asir kitne dariyaon ko ek kuze mein bhar de koi munkashif jis se hon asrar meri hasti ke jaane kab mujh ko wo irfan-o-nazar de koi