ru-ba-ru gham ke ye taqdir kahan se aai aur hatheli ki ye tahrir kahan se aai dil ke goshe mein jise main ne chhupa rakkha tha tere album mein wo taswir kahan se aai dabi khwahish ka tha izhaar-e-tamasha goya khwab tha khwab ye tabir kahan se aai fan ko maidan khula chahiye jine ke liye raqs ki rah mein zanjir kahan se aai zindagi ke abhi aasar hain baqi warna daur-e-takhrib mein tamir kahan se aai dhundne nikle the hum maut ke mani lekin zindagi ki nai tafsir kahan se aai is ko aadam hi ki taqsir ka samra kahiye warna jannat ki ye jagir kahan se aai waqt ka sail 'karamat' tujhe le duba tha yak-ba-yak ye teri tadbir kahan se aai