ru-ba-ru tere bahut der bithaya gaya main wajd mein aaya nahin wajd mein laya gaya main silsila khatm na hoga ye dil-azari ka is se pahle bhi kai bar manaya gaya main yun laga sab ne gawahi di ki tu mera hai jab tere nam se basti mein sataya gaya main jab jab asrar meri zat ke khulne se rahe chhed kar zikr tera wajd mein laya gaya main mujh se raste mein thaharne ki aziyyat puchho thokaren mar ke raste se hataya gaya main