us ne bola yar chhupa kar rakhna tum hum donon ka pyar chhupa kar rakhna tum jo meri surat se milte-julte hon wo sare ashaar chhupa kar rakhna tum sidhe han mat karna main mar jaunga thoda ye iqrar chhupa kar rakhna tum mushkil se aata hai aur ud jata hai is hafte itwar chhupa kar rakhna tum bachcha hai wo aur bachche zid karte hain bachche se bazar chhupa kar rakhna tum do din ko wo milne aaya hai tum se do din ye aazar chhupa kar rakhna tum kal meri ye ghazal chhape to padh lena aur phir wo akhbar chhupa kar rakhna tum