ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte dard to hum ko chhupana tha sada kya karte bewafai bhi wafa hi ki tarah ki us ne aise insan se karte to gila kya karte chhin gain hath uthane se duaen mahngi hausla phir wo duaon ka bhala kya karte kuchh to aate rahe ummid ke jhonke warna itna shadab mujhe aab o hawa kya karte apne meayar se girna nahin aaya hum ko apne kirdar ko hum is se siwa kya karte jab bhi aaya koi achchha hi khayal aaya hai 'ashk' hum jaise zamane ka bura kya karte