ru-e-zamin nahin ki sar-e-asman nahin sach puchhiye to us ke nishan hain kahan nahin khud hum mein aaj himmat o azm-e-jawan nahin warna pahunch se dur kabhi aasman nahin bas ek zat-e-haq ke siwa kaenat mein har shai fana-pazir hai kuchh jawedan nahin tum ne jo kuchh kaha so kaha apna apna zarf aisa nahin ki mere dahan mein zaban nahin dil mein hamare hasrat-o-arman ka hai hujum kaise kahen ki hum pe koi mehrban nahin kar arz-e-muddaa magar ai dil rahe khayal inkar kar diya to karega wo han nahin 'tabish' wo samne hi hai udta hua ghubar bas do qadam se dur hai ab karwan nahin