tu apne hone ka har ek nishan sambhaal ke mil

tu apne hone ka har ek nishan sambhaal ke mil
yaqin sambhaal ke mil aur guman sambhaal ke mil

hum apne bare kabhi mushtail nahin hote
faqir log hain hum se zaban sambhaal ke mil

wajud-e-wahima viraniyon mein ghumta hai
ye be-karan hai to phir be-karan sambhaal ke mil

ye marhale hain ajab is liye samundar se
hua ko tham ke mil baadban sambhaal ke mil

agarche dost hain sare hi aas-pas magar
usul ye hai ki tir-o-kaman sambhaal ke mil

tu kaisi ghair-yaqini faza mein milta hai
koi to lamha kabhi darmiyan sambhaal ke mil

phir us ke baad to shayad rahe rahe na rahe
tamam umr ka sud-o-ziyan sambhaal ke mil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close