ru-e-zeba ko dikhate hain chale jate hain kyun nazar mujh se milate hain chale jate hain hasrat-e-dil meri rah jati hai dil hi mein mere farz kya aise nibhate hain chale jate hain aap se aisi tawaqqoa na kabhi thi mujh ko sham-e-ummid bujhate hain chale jate hain kuchh to aadab-e-mohabbat ka karen pas-o-lihaz kya yunhi dil ko lagate hain chale jate hain chaaragar hain to karen aa ke meri chaaragari dard-e-dil aur badhate hain chale jate hain haar hi haar ho jaise meri qismat mein likhi jit ka jashn manate hain chale jate hain tursh-rui kabhi hoti nahin itni achchhi aate hi rang jamate hain chale jate hain yunhi ghut ghut ke marun hijr mein kab tak un ke maut wo meri bulate hain chale jate hain de ke darwaza-e-dil par mere aksar dastak nind raaton ki udate hain chale jate hain aap ka kya hai jalenge to jalenge hum log aap to aag lagate hain chale jate hain raushni aap ka darkar hai shayad us se khana-e-dil ko jalate hain chale jate hain aap ko dil hai milana to milaen ba-khushi dur se hath milate hain chale jate hain is se behtar tha ki aate na abhi mere pas aap kuchh der ko aate hain chale jate hain aap se dil ko lagana hai saza mere liye khun-e-dil mera jalate hain chale jate hain kijiye kuchh to mohabbat ka meri pas-o-lihaz kya isi tarah se aate hain chale jate hain aap ka farz hai apni kahin meri bhi sunen haal-e-dil apna sunate hain chale jate hain aap se kis ne kaha tha ki abhi aa jaen aa ke 'barqi' ko satate hain chale jate hain