wo aalam hai ki munh phere hue aalam nikalta hai shab-e-furqat ke gham jhele huon ka dam nikalta hai ilahi khair ho uljhan pe uljhan badhti jati hai na mera dam na un ke gesuon ka kham nikalta hai qayamat hi na ho jae jo parde se nikal aao tumhaare munh chhupane mein to ye aalam nikalta hai shikast-e-rang-e-rukh aaina-e-be-tabi-e-dil hai zara dekho to kyun kar gham-zadon ka dam nikalta hai nigah-e-iltifat-e-mehr aur andaz-e-dil-jui magar ek pahlu-e-betabi-e-shabnam nikalta hai 'safi' kushta hun na-pursaniyon ka ahl-e-alam ki ye dekhun kaun mera sahab-e-matam nikalta hai