ruh-e-ajdad ko jhinjhod diya bachchon ne sare haalat ka rukh mod diya bachchon ne aakhiri ek khilauna tha riwayat ka waqar baaton baaton mein jise tod diya bachchon ne ghar ka har shakhs nazar aata hai but patthar ka jab se rishton ko naya mod diya bachchon ne zindagi aaj hai ek aise apahij ki tarah la ke jangal mein jise chhod diya bachchon ne aaj ke daur ki tahzib ka patthar le kar ek diwane ka sar phod diya bachchon ne zad mein aa jaenge sab shahr sabhi ganw bhi mauj-e-dariya ko kidhar mod diya bachchon ne sab buzurgon ke tabassum ko dikhawa kahiye warna ye sach hai ki dil tod diya bachchon ne