umand rahi hain ghataen ki zulf barham hai chhalak raha hai jo khum hai ki aankh pur-nam hai nashat-e-zist mayassar nahin to kya shikwa mujhe hayat se badh kar hayat ka gham hai phir aaj gardish-e-dauran se mat khai hai bisat-e-dil hi ulat do ki hausla kam hai thahar na jae kahin nabz-e-gardish-e-dauran teri nigah-e-karam ka kuchh aur aalam hai na shor-e-naghma na raqs-e-subu na khanda-e-gul chaman mein aaj nigar-e-chaman ka matam hai