ruh ke malbe se lipte nam ka andaza na kar mujh se mil to mere pahle gham ka andaza na kar warna meri ret khud mein jazb kar legi tujhe sarsari sahra ke pech-o-kham ka andaza na kar dhup ki tuti hui takhti pe barish ne likha ghar ke andar baith kar mausam ka andaza na kar ai hawa-e-taza agli manzilon ki samt dekh mujh mein phaile habs ke aalam ka andaza na kar bad-samaat shakhs ye sab teri wusat mein kahan saz-e-jaan ki larzish-e-paiham ka andaza na kar sair kar sarw-o-saman ke darmiyan ai gul-nazhad aahu-e-wahshat-zada ke ram ka andaza na kar yun na ho aankhen teri patthar ki ho jaen 'nabil' is sadi ke qissa-e-adam ka andaza na kar